Wednesday, May 31, 2006

Tera Ishq mai meri jaan fanna ho jaaye

Fanaa, most awaited movie finally in the theatres. Amir Khan trying his best to gain some publicity by the BJP comments. (why else would he want to get himself involved in politics?).
Ok.. coming back to Fanaa, heard not a very good movie. Not worth spending three hours and 100 bucks. Trying to make a hero out of a villian.. Both (Kajol and Amir) do not fit into the characters of teenagers. Really wonder how Shah rukh manages to do it in his movies... :)
Some Shayari from the movie...

Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de
Baho me lele aur khud ko bheeg jane de
Hai jo seene me quaid dariya wo chut jayega
Hai itana dard ki tera daman bheeg jayega..

E Khuda aaj yeh faisala kar de, Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine, Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna, Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse, Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

"Aag suraj main hoti hai ,Jalna dharti ko padta hai"
"mohabbat aankhen karti hain ,tadapna dil ko padta hai"

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte....

Phool hun Gulaab ka.... Chameli ka mat samjhna....
Aashiq hun aapka.... Apni saheli ka mat samjhna

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai..

Tere dil mai meri sansoon ko panah mil jaaye
Tera Ishq mai meri jaan fanna ho jaaye

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home