Saturday, October 28, 2006

Shayari

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti
chahti hoon main tujhe aaj bhi par teri soch mei apna waqt bekar nahi karti
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main tere liye khuda se taqraar nahi karti
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim warna
Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti

Khamosh palko se beh beh kar, jab aansu aatey hai,
app kaya janey app kitna humey yaad aatey hai,
Hum aaj bhi usi mod par khadey hai,
jaha appney mujse kaha tha ki, thehro hum abhi aatey hai"

Jo chij mangkar mile wo mannat hai, chhah kar mile woh chahat hai,
paas ho woh amanat hai, dilse mile vo rehmat hai
par hum jaisa koi DOST mile wo kismat hai...

Kaho usi se jo na kahe kisi se, Mangoo usi se jo dede khushi se,
Chahoo use jo tumhe mile kismat se, Dosti karo usi se jo hamesha nibhaaye hasi se

Raat pe savera chha gaya, suraj roshni ke saath aa gaya,
ye mahol subaha ka sabhi ko bha gaya,
aur aap ne aankh kholi to msg hamara aa gaya.

Hamari muskurahat dekh kar duniya ne socha ki hum gum se khali hai,
par unko kya pata ki jis gum k baag me duniya rahti hai, hum us baag k mali hai

Yahi to khubsurat dosti ka nata hai, jo bina kisi shart ke jiya jata hai,
Rahe duriya darmiya to parwah nahi, Dost to har pal Dil se yaad kiya jaata hai.

Dosti bhi ajeeb si hoti hai, Har lamha unki kami si hoti hai,
chahate hain unko is kadar hum, zara si kharoch unko lage to takleef hume hoti hai.

Tumhe lakhon ki bheed me pehchanta hai koi, tumhe din raat duaon me mangta hai koi.
Tum khud se bhi itne vakif nahi ho, tumhe tumse bhi jyada jaanta hai koi.

Zikr hua jab khuda ki rahmato ka... humne khud ko khushnaseeb paya...
Tamanna thi ek pyare se dost ki, KHUDA khud dost bankar aapke roop mein chala aaya.

Kuch din tujko na dekha dil udas ho gaya, kuch hi pal mein tu itna khaas ho gaya,
ab tak to pata nahi tha mujhe, lekin teri judai se yeh ehsas ho gaya.

Udas na hona kyunki main ab bhi khaas hoon, samne na sahi par aas pas hoon,
palkon ko bandkar jab atit me jhankoge, main har pal wahin tere saath hoon...

Dosti - kaho to do lafz, mano to bandgi, socho to gehra sagar, dubo to zindagi, karo to aasan,
nibhao to mushkil, bikhre to sara zamana, simte to sirf tum

Kuch uljhe hue sawalon se darta hai dil, na jane kyun tanhai mein bikharta hai dil,
usko pane ka khayal koi badi baat nahi bas usko kho dene ke khayal se darta hai dil