Wednesday, June 04, 2008

Main Shayar to Nahiiiiiii.....

Na Jaane tumne kaise ahsaas jagaye hai, pahli baar mere dil mein aise vijaar aaye hai.
Ab aa jao rehna hai door mushkil, tumne naa jaane kitne sapne sajaye hai.

Ye din yoon hi guzar jayenge, ek din aap humse bichad jayenge.
Naaraz na hona humhari shararato se, yahi to woh pahl hai jo umar bhar yaad aayenge

Teri ye baatein acchi lagti hai, pyari aur sacchi lagti hai.
karte ho tum jitna pyar mujhse, hum karte hai thoda jyada usse
Kabhi isse kam na karna ye guzarish hai, aap rahe sirf humhare dil ki yahi khwahish hai.

Roote ho itna ki hum mana bhi na sake, hua dard itna phir bhi dikha na sake
aap humse itne khafa ho, chupana chaha par humse chupa na sake

Aaina dekh kar hum sharama gaye, kyunki humhari aankhon mein aap nazar aa gaye.
Humne humhari aankhen kar li bandh, aap aankhon se uthar kar dil me sama gaye